Posts

Showing posts from January, 2025

Aye Dilli !

 Socha nahi tha kabhi ye din bhi aayega , jisse  bezaari ho wahi mohabbat ban jayega , Aye ishq tu aur kaise din dikhayega ?

Baatein

 Hey! Can we run? Who are you? Well ! You know it.. can we run? Yes! but one condition.. don't ask me to shed a hidden fear,  or doubts that linger, ever near.  Just ask me instead what I hold, ask me the silly childhood stories that are yet untold, we'll have a laugh that chases away the night. Then, with a deeply sewn trust, I will confess that for you is still unheard.  No more mute, now the words will take flight, unveiling shadows from the light. 

Soch

Socha shabdon ke dhaagon mein piron dun,  jo man mein hai use kahin keh dun, kab chatenge ye badal? Kab badlegi ye ghata? Tu hi bata  Ye na bol dena na kabhi nahin, kyunki har raat ko milti hai, 1 subah nayi. Dil ka bojh mai kaise hataun,  kisko bataun,  kisse chupaaun? Kya hua, kaise hua,  ye na bol sake hum. Baaton ko apni ye na, bayaan kar sake hum. 

Kya sach mein hum aazad hain?

 Fakr tha na tumhe khud ke aazad hone par? Aazad samajhti thi na khudko tum! Raaste par jab tum khaufzad hokar chala karti thi.. kya wahi tumhari aazadi thi? Din raat kaam karte waqt jab.. dar mein jiya karti thi, kya wahi azadi tumhari thi? Acha hua jo tum chali gayi, Hum tumhare qabil kabhi the bhi nahi! Maaf karna ki hum tumhe 1 aazad zindagi nahi de paye, de paye toh bas zakhm aur dard! Main khush hun tumhare liye, aakhirkar ab tum aazad ho! Kal sab aazadi ka jashna manayenge, desh ke liye mar mitne ki kasmein ki kasmein khayenge, Arey inko toh ilm bhi nahi hoga is baat ka ki koi chala gaya, inke beech se jo aazad desh mein rehkar bhi gulaam tha. Gulaam tha wo inki gandi soch ka, gulaam tha wo inki befazool bediyon ka.  Pata hai? Aaj bhi kai gulaam hai, bilkul tumhare jaise, kya unko bhi tumhari jaisi aazadi milegi 1 din? Log kehte hain ki ruhon ki chahat puri honi chahiye, tum hoti toh insaaf chahti. Tum hoti toh sabko mehfooz rakhna chahti, tum hoti toh izzat chahti, tum...

Prem

 Aaj tumhari yaad aa rahi thi! lekin tum sath toh nahi, yun socha maine, ki tum sath toh nahi, tumhari tasveerein hi sahi. Fir bas mai apni gallery khl tumhe dhundhne lag gayi, par dekha ki usmeintoh bas mai hi mai hun, 10 meri toh sirf 1 hi tumhari hai. Maine khud se bola, Oh bhakt! apne bhagwaan ki tasveerein bhi toh rakha karo, jab kabhi yaad aaye toh bas 1 tak dekh liya karo, lekin fir usi bhakt ne bola, tasveerein jab man mein me ho toh phone ki kya zarurat, aur jab uske sath hoti hun toh kho jati hun, yaadon ko dil mein basane mein mashgul ho jati hun, tasveereien lena hi bhul jati hun. Fir maine socha ki khud ke man mein jhanka jaaye, yaadon ke pitare mein pade, hazaaron recordingd mein se kuch ko chalaya jaye, aur maine wahi kiya. kitne pyaare din he wo, sirf tumhare hath se khana. Tum jab so rahi toh.. cycle lekar bahar nikal jana, Kishore daa ke purane gungunana. Kuch der mein meri aakhein bhar aayi, jharna jab nadi ko yaad kare, toh uska bhar uthna toh laazmi hai. Log ke...

Sab changa si!

 Sab changa si! Dhuyein ki kisko khabar hai Rajdhani mein raj toh yunhi chalta rahega Bhale hi saans ke badle maut mile Zindagi mein bas smog hi smog mile Sab changa si! Ghar toh hai apne paas, gate laga lenge Gaadi bhi hai apne paas, sheeshe chadha lenge Aasman se barseacid agar toh chatri bhi hai apne paas Sab changa si! Development isiko toh kehte hain, Saare greensgrey ho jane chahiye, kyunki wahi toh sundar lagte hain Sab changa si! Dilli toh dilwalon ki hai, fefdon ki kisko khabar hai Bacche ghar baithe toh kya hua, abhi unki bahar khelne ki umar hi kahan hai Sab changa si! Dhuyein ki kisko khabar hai Aur ye dhuaan thodi hai Bas josh utthan ki nayi hai 1 din aayega josh thanda ho jayega Kal ki dekhi jayegi kamse kam aaj toh Sab changa si!