Prem
Aaj tumhari yaad aa rahi thi!
lekin tum sath toh nahi,
yun socha maine,
ki tum sath toh nahi,
tumhari tasveerein hi sahi.
Fir bas mai apni gallery khl tumhe dhundhne lag gayi,
par dekha ki usmeintoh bas mai hi mai hun,
10 meri toh sirf 1 hi tumhari hai.
Maine khud se bola,
Oh bhakt! apne bhagwaan ki tasveerein bhi toh rakha karo,
jab kabhi yaad aaye toh bas 1 tak dekh liya karo,
lekin fir usi bhakt ne bola,
tasveerein jab man mein me ho toh phone ki kya zarurat,
aur jab uske sath hoti hun toh kho jati hun,
yaadon ko dil mein basane mein mashgul ho jati hun,
tasveereien lena hi bhul jati hun.
Fir maine socha ki khud ke man mein jhanka jaaye,
yaadon ke pitare mein pade,
hazaaron recordingd mein se kuch ko chalaya jaye,
aur maine wahi kiya.
kitne pyaare din he wo,
sirf tumhare hath se khana.
Tum jab so rahi toh..
cycle lekar bahar nikal jana,
Kishore daa ke purane gungunana.
Kuch der mein meri aakhein bhar aayi,
jharna jab nadi ko yaad kare,
toh uska bhar uthna toh laazmi hai.
Log kehte hain dharti par khuda tum hi ho,
Agar khudse zyada mohabbat khuda se ho,
Toh haa wo tumhi ho.
Ab toh bharosa hai is baat par,
ki khuda ne maa ko banakar khud ko berozgar kar diya!
Comments
Post a Comment