Kya sach mein hum aazad hain?
Fakr tha na tumhe khud ke aazad hone par?
Aazad samajhti thi na khudko tum!
Raaste par jab tum khaufzad hokar chala karti thi..
kya wahi tumhari aazadi thi?
Din raat kaam karte waqt jab..
dar mein jiya karti thi,
kya wahi azadi tumhari thi?
Acha hua jo tum chali gayi,
Hum tumhare qabil kabhi the bhi nahi!
Maaf karna ki hum tumhe 1 aazad zindagi nahi de paye,
de paye toh bas zakhm aur dard!
Main khush hun tumhare liye, aakhirkar ab tum aazad ho!
Kal sab aazadi ka jashna manayenge,
desh ke liye mar mitne ki kasmein ki kasmein khayenge,
Arey inko toh ilm bhi nahi hoga is baat ka ki koi chala gaya,
inke beech se jo aazad desh mein rehkar bhi gulaam tha.
Gulaam tha wo inki gandi soch ka,
gulaam tha wo inki befazool bediyon ka.
Pata hai?
Aaj bhi kai gulaam hai,
bilkul tumhare jaise,
kya unko bhi tumhari jaisi aazadi milegi 1 din?
Log kehte hain ki ruhon ki chahat puri honi chahiye,
tum hoti toh insaaf chahti.
Tum hoti toh sabko mehfooz rakhna chahti,
tum hoti toh izzat chahti,
tum hoti toh sahi maayne mein aazadi chahti!
Mai chahti hun ki tumhari jaisi azadi kisiko naseeb na ho,
kyunki tum hoti toh yahi chahti!
I wrote this on 14th august 2024 when the Rg Kar medical case was on full swing.
Many moths have passed and we remain on the same place.
This poem might act as a reminder.
Thank you!
Comments
Post a Comment