Hirait!

Hirait!

Kon hai 'hirait'? 
Wo ghar,
wo shakhs, 
wo pal,
wo ehsaas.
Jab uski yaad aaye,
jab un yaadon me doob jao,
jab usse 1 hone ka ehsaas ho jaaye.
Par agle hi pal,
ye samne aaye, 
ki..
wo ghar,
wo shakhs,
wo pal, 
wo ehsaas,
jispe mai zinda thi,
wo toh kabhi thi hi nahi.
Thi tih bas unki yaadein,
hain toh bas unka ehsaas.
Kabhi kabhi lagta hai,
ye jo saansein hai meri,
ye bhi 'hirait' hai! 
Jo aas paas hai,
wo hokar bhi kuch nahi
sab sirf 1 shabd mein simti 'Hirait' hai! 

Comments

Popular posts from this blog

MUSINGS IN SOLACE

Finally I am 19!

Why do I write?